Jab dukh ki nadiya behti hai aur sagar se ja milti hai
Jab sayaa abr ka hatta hai aur dhoop kari ho jati hai
Mai khud ko tanha pati hun tab yaad bohot tum aate ho


Angan me lagi chambeli jab apni khushboo phailati hai
Jab badal ghir kar aate hain aur rim jhim barish hoti hai
Mai khud ko tanha pati hun tab yaad bohot tum aate ho


Sardi ki yakhbasta raaton me garm shawl jab orhti hun
Aur us shawl ki bahon me jab apna sarapa saumpti hun
Mai khud ko tanha pati hun tab yaad bohot tum aate ho


Kisi mele me kisi mehfil me jab saath me jore dikhte hain
Mai apne khali pehlu ko bari hasrat se jab dekhti hun
Mai khud ko tanha pati hun tab yaad bohot tum aate ho


Jab lambe lambe raaston pe tanha chalna parta hai
Aur thak jaun aur pyaas lage aur humdard ki aas lage
Mai khud ko tanha pati hun tab yaad bohot tum aate ho


Suno duniya mujhse puchhti hai kyon ujri ujri rehti ho
Aur chehre ki shadabi kyon barbadi me badli hai
Jab uljhe baal banati hun tab yaad bohot tum aate ho


Mai khud ko tanha pati hun tab yaad bohot tum aate ho
Mai khud ko tanha pati hun tab yaad bohot tum aate ho