Thursday, October 20, 2011

Mausam





Bahar mausam sardiyo ka andar ye tufan sa kyun he
Shayad ye un barisho ki vajah se he jo ayi to thi hume bhigone par jalakar chali gayi
Manga tha jahan apna ek akash zamin pe gira kar chali gayi
Soche the jalayenge sapno k diye par ummedo ki arthiya uthakar chali gayi
Mange the raste phoolo k aur kanto ko chubho ke chali gayi
Kher  wo  ek mausam tha ab to humne rahe nahi manzile badalna sikh liya he
Har mod se zindgi me kuch pana sikh liya he
Ye sardiya to yunhi chali jayegi aur shayad ye garmiya bhi
Reh jayega to sirf intezaar ek nayi barish ka 1 nayi ummed k sath
Kya pata is bar shayad ye hume bhigo de  :)

Monday, July 11, 2011

Aaj




Aaj fir kuch likhne bethi hun
dil ki gunj ko shabdo me bayan karne bethi hun

sapno ki sachchai se lekar armano ki rusvai tak
apne har jasbat ko suljane bethi hun
aaj fir kuch likhne bethi hun

ye samaj aur uski yun 1 tarfi bandishe
har bandish ko satane bethi hun
aj fir kuch likhne bethi hun

vese to bahot raste he zindgi jine ke
fir bhi 1 naya rasta talashne nikli hun
aj fir kuch likhne bethi hun

Najane kesa hoga mera anewala kal
Par me thehri apne aaj me jinewali ladki
apni aj hi me kuch likhne bethi hun

Wednesday, June 15, 2011

Aks





Zindagi kis tarah bitao ge

Pass jab apne hamein na pao ge

Din mein tanhaiyan sataein gi

Raat ko chonk kar uth jao ge

Raat bhar neend kyoun nahi aati

Tum ye khud bhi samajh na pao ge

Log pochein ge ess tanhai ka sabab

Kia chopao ge kia batao ge

Palkein har bar bheeg jayein gi

Jab kabhi khul ke muskarao ge

Meri yaadein buhat sataein gi

Jab bhi barish mein bhig jao ge

Khud ko tanha na pa sako ge

Har jaga mera aks pao ge..!!!

Saturday, June 4, 2011

Humsafar



Na Wo Farishta Ho Na Farishton Jisa Ho,,
Mujhe Talash Hai Uski Jo Mere Jaisa Ho,,

Mere Khalos Ko Pehchanta Ho Bas Kafi Hai,,
Wo Koi B Ho Kahi B Ho Kaisa B Ho,,
Meri Muhabat Ko Pehchan Sake Wo Aisa Ho,,

Meri Khatir Wo Marna Ka Hosila Bhi Rakhta Ho,,
Agar Kabi Rooth Jaon To Muskura Kar Manay Wo Aisa Ho,,

Jo Baat Kare Nibhay B Iradon Mein Wo Apne Chatano Jaisa Ho,,
Dukhon Mein Hansne Ka Hunner Janta Ho
Ek Aisa Humsafar Ho Jo Samundar Ki Tarah Gehra Ho.

Tuesday, May 24, 2011

Fasane



Hoton pe mohabbat key fasane nahin aate
Sahil pe samandar key khazane nahin aate

Palken bhi chamk uthti hein sote mein hamaari
Aankhon ko abhi khuwab chhupane nahin aate

Dil uj di hui eik saraye ki tarah hai
Ab log yahan raat jagane nahin aate

Udne do parindon ko abhi shokh hawa mein
Phir laut key bachpan key zamane nahin aate

Is shehr key baadal teri zulfon ki tarah hein
Ye aag lagate hein bujhane nahin aate

Ahbab bhi Ghairon ki ada seekh gaye hein
Aate hain magar dil ko dukhane nahin aate

Lehre




Lehron mein doobte rahe dariya nahin mila

Usse bichhad key phir koi waisa nahim mila



Kuchh log thodi der to achchhe lage magar

Ham jiske ho saken koi aisa nahin mila



Wo bhi bahut akela hai shayad meri tarah

Usko bhi koi chaahne wala nahin mila



Do chaar din to kitne sukun se guzar gaye

Sab khairiyat rahi koi apna nahin mila

Tuesday, May 17, 2011

Tum




Jab saawan mein tanha bhego gay

Jab aangan khaali paao gay

Jab saahil se takraati lehron mein

Apni tanhaai mein kho jaao gay 

Jab raat ke tanha daaman mein 

Tum chaand ko aadha paao gay 

Jab khud se baatein kartey kartey 

Tum door kahin kho jaao gay 

Jab dil ki baat chupaane ko 

Hum se nazar tum churaao gay 

"Main tum se mohabbat karti hoon" 

Harr baar yeh sun_na chaaho gay 

Inn sab lamhon mein jaan lena ke 

"tum, tum nahi "HUM" ban jaao gay

Monday, May 16, 2011

Talash




Log Mujh Se Mil Kar Bichher Jate Hain 
Is Liye Main Logon Se Door Rehti Hon
Mat Samjho Ke Aate Nahi
Adaab-E-Mulaqaat Mujhe
Khaloos Ka Banda Hon Aadat Se Majbor Rehti Hon
Jin Se Barha Mera Rabta Gham He Mila
Ab Raabte Nahi Barhati Bohat Masroof Rehti Hon
Log Mujhe Kehte Hain Be-Murawat Aur Khud Gharz Farebi
Dekho Main Kitne Ache Naamon Se Mash-hor Rehti Hon
Her Waqt Khoi Rehti Hon Khud Ki Talaash Mein
Bohat Thak Gai Hon Ghamon Se Choor Rehti hon.

Meanings:
Khaloos- Bina dikhave ki mahobat
Rabta- Connection

Pyar

                                         
Chahe Mujrim Samjhe Ya Koi Gunahgaar Hamein

Saaf Kehte Hain K Ek Shakhs Se Hay Pyar Hamein
Dil Dia Hay Kisi Ko To Mukarna Kesa
Pyar Kia Hay To Halaat Se Darna Kesa
Apne Is Jurm Ka Iqrar Hay So Baar Hamein
Saaf Kehte Hain K Ek Shakhs Se Hay Pyar Hamein
Humne Maana K Hamein Jaan Se Jaana Hoga
Jaan De K B Hamein Pyar Nibhana Hoga
Lo Suno
Tark-e-Mohabbat Se Hay Inkaar Hamein
Saaf Kehte Hain K Ek Shakhs Se Hay Bohat Pyar Hamein.

Log



Hanste hain yunhi hans k rula jate hain log,
Milten hain yunhi mil k juda ho jate hain log,


Pal 2 pal ko umar bhar ka sath na samjho,
Mohabbat bhi karte hen khafa bhi ho jate hain log,

Qaidi hain najane kin kin majboriyon k,
Kar k izhar-e-mohabbat beparwa ho jate hain log,

Nasib me tha hi nahi jo hum ko mila nahi,
Mohabbat ki aarr me chupke se zehar pila jate hain log,

Ab kis se shikwa karen apni qismat ka MUDDASIR,
Kar k wafa k waday bewafa ho jate hain log,

Ehsas



Apnay ahsaas say choo kar mujhay sandal kardo
Main kay sadyoon say adhora hoon mukammal kar do

Na tumhain hosh rahay aur na mujhay hosh rahay 
Is qadar toot kay chaho mujhay Pagal kar do

Tum hathaylii ko mairay piyaar ki mahandi say rango
Apni aankhoon main mairay naam ka kaajal kar do

Uskay saa'ey main khwaab dahak uthaingay
Mairay chahray pay mahakta hova Aanchal kar do

Dhoop hi dhoop hoon main toot k barso mujh per
Is qadar barso mairii rooh main jhal thal kar do

Taluk







Main sun kay iski sab baatein
faqat itna hi kehti thi

khafa hona, mana leina
yeh sadiyoon se riwayat hai

muhobbat ki alamat hai
giley shikwey karo mujhse


tumhein Janaa ijazat hai
magar ik baat meri yaad rakhna tum

Kabhi aisa bhi hota hai
Hawayen rukh badalti hain

Khizayen laut jati hain
khafa hona bhi mumkin hai

Khata hona bhi mumkin hai
magar haath se daaman 

kabhi ch'oota nahi karte
hamesha yaad rakhna tum

taaluk rooth janay se
kabhi toota nahi karte

Hasratein





tumhen jab kabhi milay fursat mere dil se bojh utar do,
mein boht dino se udas hun mujhe koi sham udhar do,

mujhe apne roop ki dhoop do,ke chamak sakein mere khad-o-khal,
mujhe apne rung mein rung do,mere sare rung utar do,

kisi or ko mere hal se na gharz hai na koi wasta,
mein bikher gya hun samait lo,biger gya hun sanwar do,

meri weh'shaton ko badha diya hai,judaiyon ke azab ne,
mere dil pe hath rakho zra,meri dharkano ko qarar do,

tumhen subha kaisi lagi kaho meri khuahishon ke diyar ki,
jo bhali lagi to yahin raho isay chahaton se sanwar do

Barishein







Barishon Ke Mausam Main

Tum Ko Yaad Karne Ki

Aadatain Purani Hain
Ab Ki baar Socha Hai
Aadatain Badal Daalain
Phir Khayal Aaya Ke
Aadatain Badalne Se
Barishain Nahin Ruktin


Monday, May 9, 2011

Nazm


koi diwana kehta hai..koi pagal samjta hai..
magar dharti ki baicheni..ko bas badal samjta hai...
tu mujhase dur kaisi hai main tuzse dur kaisa hu,
yeh mera dil samjta hai na tera dil samjta hai...

mahobat ek aisa sog ki pawan si kahani hai
kabhi kabira diwana tha kabhi meera diwani hai..
yaha sab log kehte hai ki mere aankho me aansu hai..
jo tu samjhe to moti hai jo na samjhe to pani hai..

Bahut tula bahot bikhara thapede seh nahi paaya..
hawaaon ke isharo par, magar main beh nahi paya...
adhoora ansuna hi reh gaya yeh pyar ka kissa...
adhoora ansusna hi reh gaya yeh pyaar ka kissa...
kabhi tu sun nahi paaryi kabhi main keh nahi paya...

bhramar koi kumdani par machal baitha to hungama
humare dil me koi khwab pal baitha to hungama...
abhi tak log sunte the kissa mahobat ka...
main kisse ko hakikat me badal baitha to hungama...

samundar peer ka andar hai lekin ro nahi sakta...
yeh aansu pyar ka moti, ise main kho nahi sakta...
meri chahat ko tu apna bana lena magar sunle...
meri chahat ko tu dulhan bana lena magar sunle..
jo mera ho nahi paaya woh tera ho nahi sakta...

swaym se dur ho tum bhi.... swaym se dur hai hum bhi...
bade mashhoor ho tum bhi...bade mashhoor hai hum bhi..
bade magroor ho tum bhi... bade magroor ho tum bhi..
aatah bade majboor ho tum bhi..
bade majboor hai hum bhi...

Yad




Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya.
Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya.
Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
...aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya.
Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya.
Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
aaj jab dil nay bulaya tu boht yaad aaya…..

Wednesday, May 4, 2011

Dua





Dua Tu Janay Koon See Thi

Zehan Main Nahi

Bas Itna Yaad Hay

Keh Do Hatheliyaan Mili Hoii Thin

Jin Main Ak Meri Thi

Or Ak Tumhari

Tuesday, May 3, 2011

Rishta








Kabhi Socha Hay

Humaray Rishtay Ka Naam Kia Hay

Mohabbat, Zarorat, Khowahish, Janoon, Ishq Ya

Wo Rishta Jo

Aasmaan Ka Zameen Say Hay

Barish Ka Sehra Say Hay

Haqiqat Ka Khowabon Say Hay

Din Ka Raat Say Hay

Yeh Kabhi Ak Dosray Say

Mil Nahi Patay

Lakin Ak Dosray Kay Bagair Adhoray Bhi Hain

Shayed Aisa Hi Kuch Rishta

Mera Or Tumhara Bhi Hay

Monday, May 2, 2011

Fanna




Rat ki tareeki mai Asman per beshumar
Tare chamak rahay thay,
Mere dekhte hi dekhte ek tara toot ker bikharne laga,
Maine us se poocha tum to apne sathiyon kay sath
Khush thay per.....
Kyon iss tarha rooth kar ja rahay ho.....
Us ne kaha ek pagal se larki ne taron ko dekh
ker dua mangi....
Kay koi tara abi iss waqat toot jaye to mai samjo gi
Meri dua kabool ho jaye gi.....
Or MERI MOHABBAT mujay mil jaye gi...
Tare ne kaha jab maine dekha koi tara nahi toota
To larka rone laga us kay anso'on mai na dekh saka...
Aur mai apne sathiyon say juda ho ker sab rishtay toar kar
Toot gaya....
Maine kaha tum kitne khush naseeb ho kay....
Kisi ki khushi kay liye tumne....
APNI ZINDAGI FANA KAR DI....!!!!

Ek ladki



Ajeeb larki hoon Khudh ko jalana chahti hoon
Mein khudh ko rakh kar kaheen bhool jana chahti hoon,

Meray naseeb ki khushiyan bhi kab milen mujhko
Bas ab to umer bhar ansoo bahana chahti hoon,

Najaney kitni mohabbat hai ranj-o-gham sai mujhe
Koi bhi dard ho dil mein chupana chahti hoon,

Baha baha kai yeh ansoo bikhar chuki hoon buhut
simat kai zaat mein ab muskurana chahti hoon,

Jisey aik umer sai Dil mein basa kai rakha hai
Woh raaz aaj mein sab ko batana chahti hoon,

Wohi yaad hai jo acha kaha hai loghon nai
Baqaya sarey sitam bhool jana chahti hoon,

Mujhe zamaney nai pathar samjh lia hai magar
Mein aik Larki hoon sab ko batana chahti hoon,

Jo mujh sai ruth chuki hain zamaney ki khushiyan
To mein bhi khushyon sai ab ruth jana chahti hoon,

Woh meri khwahishein woh mera khwaab woh mera bachpan
Aye Umer rafta mein phir sai woh pana chahti hoon,

Koi to ho jo mujhe bhi lagaye seenay sai
Kisi ko mein bhi gham apna sunana chahti hoon,

To Apnay Dil kai har aik dard ko khol de
Mein dard ban kai teray dil mein ana chahti hoon

Nazm







Naqsh yadon ka mitaati he to ro parti he.
wo mera khatt jo jalati he to ro parti he.

khoon dikhta hey mery marty hoye sapno ka,
khuwab ankhon main basati he to ro parti he.

log poochty hen jo gehri udaasi ka sabab,
baat logon se chupaati he to ro parti he.

yaad karti he mujhy toot kar us lumhy,
shaam chehra jo dikhaati he to ro parti he.

woh bary zubt bhary hosly wali larki,
ghum ko tahreer banati he to ro parti he.

Wednesday, April 13, 2011

Tanhai







Jab dukh ki nadiya behti hai aur sagar se ja milti hai
Jab sayaa abr ka hatta hai aur dhoop kari ho jati hai
Mai khud ko tanha pati hun tab yaad bohot tum aate ho


Angan me lagi chambeli jab apni khushboo phailati hai
Jab badal ghir kar aate hain aur rim jhim barish hoti hai
Mai khud ko tanha pati hun tab yaad bohot tum aate ho


Sardi ki yakhbasta raaton me garm shawl jab orhti hun
Aur us shawl ki bahon me jab apna sarapa saumpti hun
Mai khud ko tanha pati hun tab yaad bohot tum aate ho


Kisi mele me kisi mehfil me jab saath me jore dikhte hain
Mai apne khali pehlu ko bari hasrat se jab dekhti hun
Mai khud ko tanha pati hun tab yaad bohot tum aate ho


Jab lambe lambe raaston pe tanha chalna parta hai
Aur thak jaun aur pyaas lage aur humdard ki aas lage
Mai khud ko tanha pati hun tab yaad bohot tum aate ho


Suno duniya mujhse puchhti hai kyon ujri ujri rehti ho
Aur chehre ki shadabi kyon barbadi me badli hai
Jab uljhe baal banati hun tab yaad bohot tum aate ho


Mai khud ko tanha pati hun tab yaad bohot tum aate ho
Mai khud ko tanha pati hun tab yaad bohot tum aate ho

Thursday, February 17, 2011

People that come in to your life

Sometimes people come into your life and you know right away that they were meant to be there, to serve some sort of purpose, teach you a lesson, or to help you figure out who you are or who you want to become. You never know who these people may be (possibly your roommate, neighbour, co-worker, longest friend, lover, or even a complete stranger) but when you lock eyes with them, you know at that very moment that they will affect your life in some profound way.
Some people come into our lives and quickly go.
Some people move our souls to dance.
They awaken us to new understanding with the passing whisper of their wisdom.
Some people make the sky more beautiful to gaze upon.
They stay in our lives for awhile, leave footprints in our hearts,
and We are never, ever the same.

And sometimes things happen to you that may seem horrible, painful, and unfair at first, but in reflection you find that without overcoming those obstacles you would have never realised your potential, strength, willpower, or heart. Everything happens for a reason, nothing happens by chance or by means of luck. Illness, injury, love, lost moments of true greatness, and sheer stupidity all occur to test the limits of your soul. Without these small tests, whatever they may be, life would be like a smoothly paved, straight flat road to nowhere. It would be safe and comfortable, but dull and utterly pointless. The people you meet who affect your life, and the success and downfalls you experience help to create who you become.
Even the bad experiences can be learned from. In fact, they are probably the most poignant and important ones.
If someone hurts you, betrays you, or breaks your heart, forgive them, for they have helped you learn about trust and the importance of being cautious when you open your heart. If someone loves you, love them back unconditionally, not only because they love you, but because in a way, they are teaching you to love and how to open your heart and eyes to things.
Make every day count!! Appreciate every moment and take from those moments everything that you possibly can for you may never be able to experience it again. Talk to people that you have never talked to before, and actually listen. Let yourself fall in love, break free, and set your sights high. Hold your head up because you have every right to. Tell yourself you are a great individual and believe in yourself, for if you don't believe in yourself; it will be hard for others to believe in you.
You can make of your life anything you wish. Create your own life then go out and live it with absolutely no regrets.

Saturday, January 22, 2011

chal hun lakhu ek prem kahani

Chal hu lakhu ek prem kahani
jeno tu chhe raja ne hu chhu rani
chhe eto bahu vaat majani
--chal hu lakhu ek prem kahani

jyare pahela mali'ti aapni aankho
bas pchhi j prem ni footi'ti paakho
vat thai'ti kaik bahu j chhani
--chal hu lakhu ek prem kahani

pachhi malyu ek divas mane taru dil
joyu to mari pase natu maru dil
tyare samjayu kem thai hu diwani
--chal hu lakhu ek prem kahani

Nathi kesh-kali gata ke hoth-kamal mara
nathi chahero chand ke badan par sitara
toye te mari sundarta vakhani
--chal hu lakhu ek prem kahani

na joyu me pan tarama kai shesh ke vishes
chhata pujti rahi tane har hamesh
Fakt tara hraday thi j hu khechani
--chal hu lakhu ek prem kahani

bas rahevu chhe aamj, nathi aavavu hosh ma
aavi ne muj ne lai le tu ,tuj aagosh ma
jane ke sagar ma sarita samani
--chal hu lakhu ek prem kahani


-Priya