Friday, October 25, 2013



Na dil me mael aur na chehre pe mukhote the 
Kitni masum thi zindagi jab hum chhote the 

Sun le koi mere dil ki thodi si daastaan 
Waqt kisi ke paas itna bhi aaj kahan 

Sine se laga lete the daud kar sabhi 
Pehle kabhi jab hum chhoti si baat pe rote the 

Kitni masum thi zindagi jab hum chhote the 
Ab to pyar dekar bhi mohabbat nahi milti 

Waqt to milta hai magar fursat nahi milti 
Ek raatein rhin ye jo neendo se naata hi tod chuke 

Ek din the wo jab hum bade sukuun se sote the 
Kitni masum thi zindagi jab hum chhote the

Wednesday, August 8, 2012

Duwaye





Duwao me Meri koi chehra rehta he ,

Yado par usi ka Pehra rehta he,

Bhulao to me bhulau kaise usko,

Jo mere andar Mujse bhi gehra rehta he .






Thursday, October 20, 2011

Mausam





Bahar mausam sardiyo ka andar ye tufan sa kyun he
Shayad ye un barisho ki vajah se he jo ayi to thi hume bhigone par jalakar chali gayi
Manga tha jahan apna ek akash zamin pe gira kar chali gayi
Soche the jalayenge sapno k diye par ummedo ki arthiya uthakar chali gayi
Mange the raste phoolo k aur kanto ko chubho ke chali gayi
Kher  wo  ek mausam tha ab to humne rahe nahi manzile badalna sikh liya he
Har mod se zindgi me kuch pana sikh liya he
Ye sardiya to yunhi chali jayegi aur shayad ye garmiya bhi
Reh jayega to sirf intezaar ek nayi barish ka 1 nayi ummed k sath
Kya pata is bar shayad ye hume bhigo de  :)

Monday, July 11, 2011

Aaj




Aaj fir kuch likhne bethi hun
dil ki gunj ko shabdo me bayan karne bethi hun

sapno ki sachchai se lekar armano ki rusvai tak
apne har jasbat ko suljane bethi hun
aaj fir kuch likhne bethi hun

ye samaj aur uski yun 1 tarfi bandishe
har bandish ko satane bethi hun
aj fir kuch likhne bethi hun

vese to bahot raste he zindgi jine ke
fir bhi 1 naya rasta talashne nikli hun
aj fir kuch likhne bethi hun

Najane kesa hoga mera anewala kal
Par me thehri apne aaj me jinewali ladki
apni aj hi me kuch likhne bethi hun

Wednesday, June 15, 2011

Aks





Zindagi kis tarah bitao ge

Pass jab apne hamein na pao ge

Din mein tanhaiyan sataein gi

Raat ko chonk kar uth jao ge

Raat bhar neend kyoun nahi aati

Tum ye khud bhi samajh na pao ge

Log pochein ge ess tanhai ka sabab

Kia chopao ge kia batao ge

Palkein har bar bheeg jayein gi

Jab kabhi khul ke muskarao ge

Meri yaadein buhat sataein gi

Jab bhi barish mein bhig jao ge

Khud ko tanha na pa sako ge

Har jaga mera aks pao ge..!!!

Saturday, June 4, 2011

Humsafar



Na Wo Farishta Ho Na Farishton Jisa Ho,,
Mujhe Talash Hai Uski Jo Mere Jaisa Ho,,

Mere Khalos Ko Pehchanta Ho Bas Kafi Hai,,
Wo Koi B Ho Kahi B Ho Kaisa B Ho,,
Meri Muhabat Ko Pehchan Sake Wo Aisa Ho,,

Meri Khatir Wo Marna Ka Hosila Bhi Rakhta Ho,,
Agar Kabi Rooth Jaon To Muskura Kar Manay Wo Aisa Ho,,

Jo Baat Kare Nibhay B Iradon Mein Wo Apne Chatano Jaisa Ho,,
Dukhon Mein Hansne Ka Hunner Janta Ho
Ek Aisa Humsafar Ho Jo Samundar Ki Tarah Gehra Ho.

Tuesday, May 24, 2011

Fasane



Hoton pe mohabbat key fasane nahin aate
Sahil pe samandar key khazane nahin aate

Palken bhi chamk uthti hein sote mein hamaari
Aankhon ko abhi khuwab chhupane nahin aate

Dil uj di hui eik saraye ki tarah hai
Ab log yahan raat jagane nahin aate

Udne do parindon ko abhi shokh hawa mein
Phir laut key bachpan key zamane nahin aate

Is shehr key baadal teri zulfon ki tarah hein
Ye aag lagate hein bujhane nahin aate

Ahbab bhi Ghairon ki ada seekh gaye hein
Aate hain magar dil ko dukhane nahin aate